ye chiragh be-nazar hai ye sitara be-zubaan hai abhi tujh sey milta julta koi doosra kahan hai

ye chiragh be-nazar hai ye sitara be-zubaan hai

abhi tujh sey milta julta koi doosra kahan hai

wohi shakhs jis pey apney dil-o-jaan nisaar ker doun

wo ager khafa nahi hai tu zuroor badgumaan hai

kabhi paa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana

ye janam janam ka rishta terey merey darmiyaan hai

merey saath chalney waley tujhey kia mila safar mein

wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka aasman hai

mein isi gumaan mein barsoon bara mutmai'en raha houn

tera jism be’taghayyur hai mera pyaar jawedaan hai

unhi rastoon ne jin per kabhi gamzan thay donon

mujhey rok rok poocha tera humsafar kahan hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo