Ashk-e-rawan ki nehar hai aur hum hain dosto uss bewafa ka shehar hai aur hum hain dosto


Ashk-e-rawan ki nehar hai aur hum hain dosto
uss bewafa ka shehar hai aur hum hain dosto

Ye ajnabi si manzilen aur raftagaan ki yaad
tanhaiyon ka zehar hai aur hum hain dosto

Laayi hai ab uda ke gaye mausamon ki baas
barkha ke rutt ka qahar hai aur hum hain dosto

Phirte hain misl-e-mauj-e-hawa shehar shehar mein
aawaargi ki lehar hai aur hum hain dosto

Shaam-e-aalam dhali toh chali dard ki hawa
raaton ka pichhla pehar hai aur hum hain dosto

Aankhon mein udd rahi hai luti mehfilon ki dhool
ibrat saraa-e dahar hai aur hum hain dosto

Munir Niazi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo