Ba-Janib-e-Nazar,Ba-Janib-e-Suroor Dekh Lo Magar Hum Nahi Gaye Mulaqat Mein Had Se Buhat Door Dekh Lo Magar Hum Nahi Gaye


بجانب_نظر، بجانب_سرور
دیکھ لو مگر ہم نہیں گئے
ملاقات میں حد سے بہت دور
دیکھ لو مگر ہم نہیں گئے
اہل_طرب کی سفارشات پر
شہر میں چلی بچھڑنے کی رسم
تم بھی چل دیے پہن کر غرور
دیکھ لو مگر ہم نہیں گئے

جوان محفلیں پکارتی رہیں
ہماری لوٹ کا سامان کیے ہوئے
اک طرف شباب اک طرف انگور
دیکھ لو مگر ہم نہیں گئے

بدن سے کیجیئے شول کی مدد
وگرنہ گلستان چھوڑ دیجیئے
یہی آئین تھا یہی تھا دستور
دیکھ لو مگر ہم نہیں گئے

مل کے گنیں گے شب کی دھڑکنیں
اس کا روز یہ استفسار تھا
چاند کے ہم راہ رات کے حضور
دیکھ لو مگر ہم نہیں گئے

طلسم کدے میں بشر کے واسطے رزب لگا تھا جب بازار_سہولت
وہیں پہ تھی پری وہیں پہ کوئی حور
دیکھ لو مگر ہم نہیں گئے
(رزب تبریز)

Ba-Janib-e-Nazar,Ba-Janib-e-Suroor
 Dekh Lo Magar Hum Nahi Gaye
Mulaqat Mein Had Se Buhat Door
 Dekh Lo Magar Hum Nahi Gaye
Ahl-e-Turap Ki Safarshaat Par
Shehar Mein Chali Bicharrney Ki Rasm
Tum Bhi Chal Diye Pehn Kar Ghuroor
Dekh Lo Magar Hum Nahi Gaye
Jawan Mehfilein Pukarti Rahein
Hamari Loot Ka Saman Kiye Hoe
Ik Taraf Shabaab Ik Taraf Angoor
Dekh Lo Magar Hum Nahi Gaye
 Badan Se Kijiye Shol Ki Madad
Wa-Garna Gulistan Chorr Dejiye
Yahi Aain Tha Yahi Tha Dastoor
Dekh Lo Magar Hum Nahi Gaye
Mil Ke Gineingy Shab Ki Dharrkanein
Us Ka Roz Ye Istefsaar Tha
Chaand Ke Humrah Raat Ke Huzoor
Dekh Lo Magar Hum Nahi Gaye
Talasum Kadey Mein Bashar Ke Wastey
Razab Laga Tha Jab Bazaar-e-Saholat
Wahein Pe Thi Pari Wahein Pe Koi Hoor
Dekh Lo Magar Hum Nahi Gaye
Razab Tabraiz

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo