Dekhne Ko Abhi K Phool Ki Hai Baat Pichli Sadi K Phool Ki Hai


Poetess:Samina Saqib
Taza Kalam
Dekhne Ko Abhi K Phool Ki Hai
Baat Pichli Sadi K Phool Ki Hai
Jis Tarah Hon Main Khushboun Mein Tar
Ye Inayat Kisi K Phool Ki Hai
Jo Mujhe Yaad Bhi Nahi Karta
Mujh Ko Chhahat Ussi K Phool Ka Hai
Roshni Aap K Diye Ki Hai
Tazgi Aap Hi K Phool Ki Hai
Ye Jo Khushbo Hai Maa Ki Aanchal Ki
Aisi Khushbo Kisi Bhi Phool Ki Hai??
Kothion Mein To Roz Khiltay Hain
Baat To Jhonprrion K Phool Ki Hai


تازہ کلام
دیکھنے کو ابھی کے پھول کی ہے
بات پچھلی صدی کے پھول کی ہے
جس طرح ہوں میں خوشبووں میں تر
یہ عنایت کسی کے پھول کی ہے
جو مجھے یاد بھی نہیں کرتا
مجھ کو چاہت اسی کے پھول کی ہے
روشنی آپ کے دیئے کی ہے
تازگی آپ ہی کے پھول کی ہے
یہ جو خوشبو ہے ماں کے آنچل کی
ایسی خوشبو کسی بھی پھول کی ہے ؟؟
کوٹھیوں میں تو روز کھلتے ہیں
بات تو جھونپڑی کے پھول کی ہے
ثمینہ ثاقب

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo