Dil Kay Armaan Mertay Jaatay Hein Sub Gharonday Bikhartay Jaatay hein


Dil Kay Armaan Mertay Jaatay Hein
Sub Gharonday Bikhartay Jaatay hein

Mehmil-e-Subh-e-Nau Kub Aa-ay Gii
Kitnay He Din Guzartay Jaatay Hein

Thi Kabhi Koh-kan Meri Shereen
Ab Tou Aadab Beraty Jaatay Hein

Berhta Jaata Hai Carwaan-e-Hayat
Hum Osay Yaad Kertay Jaatay Hein

Shay-her Aabad Ker Kay, Shaher Kay Log
Apnay Ander Bikhartay Jaatay Hein

Roz Afzoon Hai Zindagi Ka Jamal
Aadmi Hein Kay Mertay Jaatay Hein

JOHN Yeh Zakhm Kitna Kaari Hai
Yaani Kuch Zakhm Bhartay Jaatay Hein


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo