Garaj Baras Pyaasi Dharthi Par Phir Paani De Maula Chidiyon Ko Daane Bacchon Ko Gud-dhaani De Maula


Garaj Baras Pyaasi Dharthi Par Phir Paani De Maula
Chidiyon Ko Daane Bacchon Ko Gud-dhaani De Maula

Do Aur Do Ka Jod Hamesha Chaar Kahan Hota Hain
Soch Samajh Waalon Ko Thodi Naadaani De Maula

Phir Roshan Kar Zeher Ka Pyaala Chamka Nayee Saliben
Jhooton Ki Duniya Mein Sach Ko Taabaani De Maula

Phir Moorath Se Bahar Aakar Chaaron Aur Bhikar Ja
Phir Mandir Ko Koi Meera Deewaani De Maula

Tere Hote Koi Kisi Ki Jaan Ka Dushman Kyoon Ho
Jeene Waalon Ko Marne Ki Aasaani De Maula

Nida Fazli


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo