Hawa chalii bhi to khud se dara diya hai mujhe Charagh-e-shaam-e-safar ne bujha diya hai mujhe


Hawa chalii bhi to khud se dara diya hai mujhe
Charagh-e-shaam-e-safar ne bujha diya hai mujhe

Mere badan me padi jb bhi zalzaley ki daraar
Mere makaa'n ne bht aasra diya hai mujhe

Main dhoop-dhoop musaafat me jiske sath raha
Zara si chhanv me usne bhula diya hai mujhe

Hisaar-e-deeda-e-tarr me simat gye manzar
Thakaawato'n ne ajab hausla diya hai mujhe

Nichudte jaate hain sab khwaab apni palko'n se
Ye kisne jaagte rehna sikha diya hai mujhe?

Mere dayaar-e-parastish me aasmaa'n tha wo shakhs
Usii ne apni nazar se gira diya hai mujhe

Ujaad din tha wo "MOHSIN" na zikr-e-shaam-e-firaaq
Hansii-khushii yunhi usne rula diya hai mujhe...!!!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo