Hum Karen Baat Daleelon Se To Rad Hoti Hai Us Ke Honton Ki Khamoshi Bhi Sanad Hoti Hai

Hum Karen Baat Daleelon Se To Rad Hoti Hai

Us Ke Honton Ki Khamoshi Bhi Sanad Hoti Hai


Saans Laitey Hoe Insaan Bhi Hai Laashon Ki Tarah

Ab Dharraktey Hoe Dil Ki Bhi Lahad Hoti Hai


Apni Aawaaz Ke Pathar Bhi Na Us Tak Puhonche

Us Ki Aankhon Ke Ishare Mein Bhi Zad Hoti Hai


ہم کریں بات دلیلوں سے تو رد ہوتی ہے
اس کے ہونٹوں کی خموشی بھی سند ہوتی ہے

سانس لیتے ہوئے انساں بھی ہے لاشوں کی طرح
اب دھڑکتے ہوئے دل کی بھی لحد ہوتی ہے

اپنی آواز کے پتھر بھی نہ اس تک پہنچے
اس کی آنکوں کے اشارے میں بھی زد ہوتی ہے


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo