Khyaal jis ka tha mujhe khyaal mein mila mujhe sawaal ka jawaab bhi sawaal mein mila mujhe


Khyaal jis ka tha mujhe khyaal mein mila mujhe
sawaal ka jawaab bhi sawaal mein mila mujhe

Gaya toh iss tarah gaya ki muddaton nahin mila
mila jo phir toh yun ki woh malaal mein mila mujhe

Tamaam ilm zeest ka guzishtagaan se hi hua
amal guzishta daur ka misaal mein mila mujhe

Har ek sakht waqt ke baad aur waqt hai
nishaan kamaal-e-fikar ka zawaal mein mila mujhe

Nihaal sabz rang mein jamaal jis ka hai munir
kisi qadeem khwaab ke muhaal mein mila mujhe

Munir Niazi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo