Likhta Hoon Fart-E- Shauq Main Main Baar Baar Khatt, Likhta Nahi Hai Aik Mujhe Woh Nigaar Khatt


Khatt

Poet: Ameer Minai

Type By
*._.Murtaza._*

Likhta Hoon Fart-E-
Shauq Main Main Baar
Baar Khatt,

Likhta Nahi Hai Aik
Mujhe Woh Nigaar
Khatt

Jhunjhula Ke Aik Bhi
Na Parrhega Yaqeen
Hai Woh,

Likhe Hain Aik Rooz
Main Maine Hazaar
Khatt,

Kia Shauq Hai Banaa
Ke Kabootar Ko Nama
Bar,

Aik Aik Par Main
Bandh Diye Char Char
Khatt,

Likhoon Zaraa
Kadoorat-E-Dil Ka
Agar Main Haal,

Khatt-E-Ghubar Kia
Ho Saraapa Ghubar Khatt,

Mumkin Nahi Kisi Ko
Kare Namaa Woh
Raqam,

Jab Tak Nikalta Nahi
Us Ka Ghadar Khatt,

Likha Hai Apne Haath
Se Us Ne Yeh Namaa
Bar,

Aankhoon Se Kyun
Laga'on Na Main Baar
Baar Khatt,

Yaseen Ke Badle Us
Ko Parrho Mere
Saamne,

Aa Jaa'ye Yaar Ka Jo
Dam-E-Ikhtisar Khatt,

Woh Sakht Jaan Hoon
Parrhti Hain Teghen
Hazaar Ha,

Parrhta Nahi Hai Tan
Pe Mere Zeenhaar
Khatt,

Naqlain Meri
Raqeeboon Ne Ki'n
Sainkrroon Ameer,

Likha Jo Usne Mujhko
Huaa Ishtihaar Khatt,

Book Name
Mirrat-Ul-Gaib
Page No: 142


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo