maarka ab kay hua bhi to phir aisa hoga tere daryia pe meri pyas ka pehra hoga


maarka ab kay hua bhi to phir aisa hoga
tere daryia pe meri pyas ka pehra hoga

us ki ankhain tere chehre pe bohat bolti hain
usne palkon se tera jism tarasha hoga

kitne jugnu esi khwahish men mere sath chalay
koi rasta tere ghar ko bhi to jata hoga

main bhi apnay ko bhulay huay phirta hoon bohat
aaiena usne bhi kuch roz na dekha hoga

ya maseehai use bhool gai hai Mohsin
ya phir aisa ha mera zakhm he gehra hoga
Mohsin Naqvi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo