Mujh se bichar ke sheher me ghul mil gaya wo shakhs halanke sheher bhar se adawat usey bhi thi


Mujh se bichar ke sheher me ghul mil gaya wo shakhs
halanke sheher bhar se adawat usey bhi thi

wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha, ji gaya
warna her aik saans qayamat ,usey bhi thi

sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan
shayed rafaqaton ki zarurat usey bhi thi

tanha hua safar me to mujh pe khula ye bhaid
saye se pyar dhoop se nafrat usey bhi thi

Mohsin ,main us se keh na saka yun bhi hal e dil
darpesh aik taza museebat usey bhi thi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo