Latest Post
Loading...

Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha, Sar-e-Bazm Raat Ye Kia Howa,


Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha,
Sar-e-Bazm Raat Ye Kia Howa,
Meri Aankh Kaise Chalak Gai,
Mujhe Ye Ranj Ha Ye Bura Huwa,
Mujhe Jo Bhi Dushman-e-Jan Mila,
Wo Pukhta Kar K Jafa Mila,
Na Kisi Ki Zarb Ghalat Pari,
Na Kisi Ka Teer Khata Huwa,
Mujhe Aap Kion Na Samjh Sake,
Ye Khud Apne Dil Hi Se Poochiye,
Meri Dastan-e-Hayat Ka To,
Wo Warq Warq Hai Khula Huwa,
Mujhe Aik Gali Mein Para Huwa,
Kisi Bd Naseeb Ka Khat Mila,
Kahein Khoon-e-Dil Se Likha Huwa,,,, Kahein Aanso'on Se Mita Huwa,
Mujhe Humsafar Bhi Mila To Shikasta Haal Meri Tarha,
Koi Manzilon Ka Thaka Huwa, Kahein Raste Mein Lutta Huwa,
Humain Apne Ghar Se Chale Huwe Sari Umar Guzar Gai,
Na Kisi Justajoo Ka Sila Mila,
Na Safar Ka Hi Haq Ada Huwa...!

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer