Saanso'n k is hunar ko na aasaa'n khayaal kr Zinda hun sa'ato'n ko main sadiyo'n me dhaal kr


Saanso'n k is hunar ko na aasaa'n khayaal kr
Zinda hun sa'ato'n ko main sadiyo'n me dhaal kr

Maali ne aaj kitni duaaye'n wasool ki
Kuchh phool ek faqeer ki jholi me daal kr

Kal yaum e hijr,, zard zamaano ka yaum hai
Shab bhar na jaag,, muft me aankhe'n na laal kr

Aye gard baad laut k aana hai phir mujhe
Rakhna mere safar ki azeeyat sambhaal kr

Mehraab me diye ki tarah zindagi guzaar
Muh-zor aandhiyo'n me na khud ko nidhaal kr

Ye naqd e jaa'n, k iska lutaana to sehel hai
Gar ban pade to isse bhi mushkil sawaal kr

MOHSIN barahna sir chali aayi hai shaam e gham
Ghurbat na dekh, ispe sitaaro'n ki shaal kr...!!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo