Sab se chupa ker dard jo wo muskara dia Uski hansi ne tu aaj, mujh ko rula dia


Sab se chupa ker dard jo wo muskara dia

Uski hansi ne tu aaj, mujh ko rula dia

Lehjay se uth rahi thi, har ik dard ki dastan 

Chehra bata raha tha ,sub kuch ganwa dia

Awaz mein thehrao tha ,ankhon mein nami thi 

Aur keh raha tha k mein ne ,sab kuch bhula diya

Janay kia usko jg se thein shikayatein 

Tanhaiyon k dais mein khud ko basa dia

Khud bhi woh hum say bichar k adhoora sa ho gaya

Muj ko bhi itnay logon main ,tanhaa bana dia


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo