Tumhara pyar chup chup kar kayi chehre badlta hai Mujhe Tum Yaad Aate ho Tumhara hijr shiddat se mere Dil ko maslta hai Mujhe Tum Yeed Aate ho


Tumhara pyar chup chup kar kayi chehre badlta hai Mujhe Tum Yaad Aate ho
Tumhara hijr shiddat se mere Dil ko maslta hai Mujhe Tum Yeed Aate ho


Samandar aashna Aankhon mein sehra aan baste hain, Tumhein jab bhool jata hon
Phir in sehraon mein ik khawab ka chashma nikalta hai, Mujhe Tum Yaad Aate ho

Mein apne hath se teri sunehri yaad ki palkein sajata hoon kheyalon mein
Kheyalon mein tera mosam kayi pehloo badalta hai, Mujhe Tum Yaad Aate ho

Teri parchaiyan har su meri tanhaiyon ka raqs karti hain udasi par
Mere seene mein ik be chein sa bacha machalta hai, Mujhe Tum Yaad Aate ho

Kisi foot path par bazar mein baghat mein ya phir kisi darya kinare par
Buhat khush ho ke jab koi kisi ke sath chalta hai ,Mujhe Tum Yaad Aate ho

Mein sara din koi sangi mujasmah ban ke rehta hoon, magar jab Sham dhalti hai
Mere Dil ki jagah par koi pathar sa pighalta hai ,Mujhe Tum Yaad Aate ho

Taswer mein tumhare sang biti barishein aksar ,Tumhein Aawaz deti hain
Nigahon mein tumhari Dhoop ka ik deep jalta hai ,Mujhe Tum Yaad Aate ho

Kabhi koi sitare Aankh se hota hua bujhta hai aake goad mein gir kar
Kabhi koi buhat hi door ubharta aur dhalta hai, Mujhe Tum Yaad Aate ho

MUJHAY TUM,, YAAD AATAY HO...................................

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo