Zinda rahen toh kya hai jo mar jayen hum toh kya duniya se khamoshi se guzar jaayen hum toh kya


Zinda rahen toh kya hai jo mar jayen hum toh kya
duniya se khamoshi se guzar jaayen hum toh kya

Hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne
ek khwaab hain jahaan mein bikhar jaayen hum toh kya

Ab kaun muntazir hai humare liye wahan
shaam aa gayi hai laut ke ghar jaayen hum toh kya

Dil ki khalish toh saath rahegi tamaam umar
dariya-e ghum ke paar utar jaayen hum toh kya...!

Munir Niazi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo