Agar Kaj Ro Hain Anjum, Asman Tera Hai Ya Mera Mujhe Fikar-e-Jahan Kyun Ho, Jahan Tera Hai Ya Mera?


Agar Kaj Ro Hain Anjum, Asman Tera Hai Ya Mera
Mujhe Fikar-e-Jahan Kyun Ho, Jahan Tera Hai Ya Mera?


Agar Hangama Ha’ay Shauq Se Hai La-Makan Khali
Khata Kis Ki Hai Ya Rab ! La-Makan Tera Hai Ya Mera?


Usse Subah-e-Azal Inkaar Ki Juraat Hui Kyun Kar
Mujhe Maloom Kya, Woh Raazdan Tera Hai Ya Mera?


Muhammad (S.A.W.) Bhi Tera, Jibreel Bhi, Quran Bhi Tera
Magar Ye Harf-e-Shireen Tarjuman Tera Hai Ya Mera?


Issi Koukab Ki Tabani Se Hai Tera Jahan Roshan
Zawal-e-Adam-e-Khaki Zayan Tera Hai Ya Mera?


Dr Allama Iqbal


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo