Dhalegii wahshi judaaiyo'n ki ye raat aakhir Chalegi apne visaal sooraj ki baat aakhir


Dhalegii wahshi judaaiyo'n ki ye raat aakhir
Chalegi apne visaal sooraj ki baat aakhir

Hmarii tashna-labii k tewar ye keh rhe hain
Hmaare paanv padegi Mauj-e-Furaat aakhir

Wo phenkta jaa rha tha sholo'n me khat kisi k
Jala liye usne apne naazuk se hath aakhir

Bhula diya tera reza-reza khayaal maine
Bikhar gayi tere dard ki kaainat aakhir

Shikastt kha kr diler dulhan ki khudkushii se
Palat gayi apne-apne ghar ko baraat aakhir

Mujhe khud apne anaa k sone ki justuju thi
Gira diya maine zaat ka somnaat aakhir

Har ek qadam pr jo thokre'n kha rha hai MOHSIN
Ye shakhs khaayega aap apne se maat aakhir.......!!!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo