Main Tere Lab Pe Hon Dereena Shikayat Ki Tarha Yaad Rakhna Hai To Ne Mujh Ko Adawat Ki Tarha

Poet:Wasi Shah
Main Tere Lab Pe Hon Dereena Shikayat Ki Tarha
Yaad Rakhna Hai To Ne Mujh Ko Adawat Ki Tarha

Chaand Nikley To Mera Jisam Mehak Uth'ta Hai
Rooh Mein Uthti Hoi Taza Muhabbat Ki Tarha

Teri Khatir To Koi Jaan Bhi Le Sakta Hon
Main Ne Chaha Hai Tujhe Gaon Ki Izzat Ki Tarha

Khul Rahi Hai Mere Dereena Masail Ki Girah
Mere Mahol Mein Uthra Hai Wo Barkat Ki Tarha

Ab Tere Hijar Mein Koi Lutf Nahi Hai Baqi
Ab Tujhe Yaad Bhi Karte Hain To Aadat Ki Tarha

Tum Meri Pehli Muhabbat To Nahi Ho Lekin
Main Ne Chaha Hai Tumhein Pehli Muhabbat Ki Tarha

Wo Jo Aati Hai To Phir Laot Ke Jati Hi Nahi
Tum Lipat Jao Kabhi Aisi Museebat Ki Tarha

Mere Dil Mein Koi Masoom Sa Bachha Hai "WASI"
Jo Tujhe Sochta Rehta Hai Shararat Ki Tarha


میں تیرے لب پہ ہوں دیرینہ شیکایت کی طرح
یاد رکھنا ہے تو نے مجھ کو عداوت کی طرح

چاند نکلے تو میرا جسم مہک اُٹھتا ھے
رُوح میں اُٹھتی ہوئی تازہ محبت کی طرح

تیری خاطر تو کوئی جان بھی لے سکتا ھوں
میں نے چاہا ہے تجھے گاؤں کی عزت کی طرح

کھل رہی ہےمیرے دیرینہ مسائل کی گرہ
میرے ماحول میں اُترا ہے وہ برکت کی طرح

اب تیرے ہجر میں کوئی لطف نہیں ہے باقی
اب تجھے یاد بھی کرتے ہیں تو عادت کی طرح

تم میری پہلی محبت تو نہیں ہو لیکن
میں نے چاہا ہے تمہیں پہلی محبت کی طرح

وہ جو آتی ہے تو پھر لوٹ کے جاتی ہی نہیں
تم لپٹ جاؤ کبھی ایسی مصیبت کی طرح

میرے دل میں کوئی معصوم سا بچہ ہے وصی
جو تجھے سوچتا رہتا ہے شرارت کی طرح


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo