Rasta bhi kathin,dhoop mein shidat bhi bohat thi saye se magar us ko mohabbat bhi bohat thi


Rasta bhi kathin,dhoop mein shidat bhi bohat thi
saye se magar us ko mohabbat bhi bohat thi

kheme na koi mere musafir ke jalaye
zakhmi tha bohat paon musafat bhi bohat thi

sab dost mere muntzir parda shab the
din mein to safar karne mein waqat bhi bohat thi

barish ki duaon mein nami aankh ki mill jaye
jazbe ki kabhi itni rafaqat bhi bohat thi

kuch to tere mosam hi mujhe raas kam aye
aur kuch meri mati mein baghawat bhi bohat thi

phoolon ka bikharna to muqadar hi tha lekin
kuch is mein hawaon ki siyasat bhi bohat thi

wo bhi sar-e-muqatil hai ke sach jis ka tha shahed
aur waqaf-e-ahwal adalat bhi bohat thi

is tarak-e-rafaqat pe pareshan to hoon lekin
ab tak ke tere wadey pe herat bhi bohat thi

khush aye tujhe shehar munafiq ki ameeri
hum logon ko sach kehne ki adat bhi bohat thi
Parveen Shakir


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo