Samandar Me Utarta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain Teri Ankhon Ko Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain


Samandar Me Utarta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Teri Ankhon Ko Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Tumhara Nam Parhne Ki Ijazat Chin Gai Jab Se
Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Me Huns Kar Jheil Leta Hun Judai Ki Sabhi Rasmen
Galy Jab Us K Lagta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Na-Jany Ho Gaya Hun Is Qadar Hassas Men Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Wo Sab Guzry Hue Lamhaat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Me Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Magr Junhi
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Har Aik Muflis K Mathay Par Alam Ki Dastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Bary Logon K Oonchy, Bad-Numa Or Sard Mehlon Ko
Gareeb Ankhon Se Takta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Tere Koochy Se Ab Mera Ta'aluq Wajabi Sa Hai
Magr Jab Bhi Guzrta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Hazar Mosamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Pe WASI

Me Jab Bhi Hansta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo