Tar hue khoo'n me kbhii khaak pehen kr aaye Hm hmesha nayii poshaak pehen kr aaye


Tar hue khoo'n me kbhii khaak pehen kr aaye
Hm hmesha nayii poshaak pehen kr aaye

Ek ajab rang se nikla wo sar-e-raah k log
Jism pr deeda-e-bebaak pehen kr aaye

Hmne sadiyo'n ki hathelii pe rakhii hain aankhe'n
Koi lamha tera idraak pehen kr aaye

Saaneha kon sa guzra hai saba se poochho
Chandd jhonke khas-o-khashaak pehen kr aaye

Zakhm ko zidd thi maseehayii se ab k warna
Harff-e-marham kayii chaalaak pehen kr aaye

Aaj milna tha use zakhm chhupa kr MOHSIN
Hm magar jaama-e-sad-chaak pehen kr aaye...!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo