Aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha, kashti ke musaafir ne samandar nahin dekha


Aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha,
kashti ke musaafir ne samandar nahin dekha
Bewaqt agar jaaunga sab chonk parenge,
ek umar hui din mein kabhi ghar nahin dekha.
Jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai,
aankon ne kabhi meel ka patthar nahin dekha.
Ye phool mujhe koi wiraasat mein mile hain,
tum ne mera kaanton bhara bistar nahin dekha.
Patthar mujhe kehta hai mera chaahne wala,
main mom hun uss ne mujhe chhu kar nahin dekha...!
Bashir Badar

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo