Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs Hua charagh to Ghar hi jala gaya ek shakhs


Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs
Hua charagh to Ghar hi jala gaya ek shakhs
Mein kis hawa mein urroon ,kis faza mein lehraoun?
Dukhon k jaal her ek soo bicha gaya ,ek shakhs...
Tamam rang mere or Sare khawab mere...
Fasaana thay! k fasaana banaa gaya ek shakhs?
Palat Sakoon hi , na aagay hi berh sakoon jisper...
Mujhe ye konse raste laga gaya ek shakhs???
Mohabbatain bhi ajab - uski nafratain bhi kamal!
Merii he terhan ka mujh mein samaa gaya ek shakhs...
Woh mahtaab tha, merham badast aaya tha..
Magr kuch aur Siwa Dil Dukha gaya ek shakhs..
Mohabaton ne kisi ki bhula rakha tha ussay
Milay wo zakhm k phir yaad aagaya ek shakhs!
Khula ye raaz k aaina khana hai duniya
Or usmein mujhko tamasha bana gaya ek shakhs
Bana Gulaab to Kaante chubha gaya ek shakhs
Hua charagh to Ghar hi jala gaya ek shakhs
UBAIDULLAH ALEEM

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo