chand k sath kai dard purane nikle kitne gam the jo tere gam ke bahane nikle


chand k sath kai dard purane nikle
kitne gam the jo tere gam ke bahane nikle
fasl-e gul ai phir ik bar asiran-e-vafa
apne hi khun k dariya main nahane nikle
hijr ki chot ajab sang-shikan hoti hai
dil ki befaiz zaminon se khazane nikle
umr guzri hai shab-e-tar main ankhain malte
kis ufaq se mera khurshid na jane nikle
ku-e-qatil main chale jaise shahidon ka julus
Khvab yuu bhigti ankhon ko sajane nikle
dil ne ik int se tamir kiya taj mahal
tu ne ik bat kahi lakh fasane nikle
dasht-e tanhai-e-hijranN main khara sochta hun
haye kya log mera sath nibhane nikle
main ne 'Amjad' use bevasta dekha hi nahi
vo to Khushbu main bhi ahat ke bahane nikle

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo