Harf-e-Ghalat Na Tha,Mujhe Samjha Gaya Ghalat Likha Gaya Ghalat Kabhi Bola Gaya Ghalat



Harf-e-Ghalat Na Tha,Mujhe Samjha Gaya Ghalat
Likha Gaya Ghalat  Kabhi Bola Gaya Ghalat

Main Bhi  Ghalat Na Tha Meri Batein Ghalat Na Thein
Mujh Ko,Mere Kalaam Ko Jancha Gaya Ghalat

Meezaan Theek Tha,Palr're Drust Thay
Lekin Ye Kon Dekhta Hai Keh Tola Gaya Ghalat

Mujh Mein Nahi They A'aib,Kasoti Mein A'aib They
Mera Tha Ye Qusoor Keh Parkha Gaya Ghalat

Toofaan Ke Baad Ahl-e-Tadabur Ko Hai Ye Fikar
 Sahil Ka Tha Qusoor Keh Darya Gaya Ghalat

Afraad Hain Ghalat Ya Ghalat Hain Tasawaraat
Ya Iss Muashre Hi Ko Dhala Gaya Ghalat

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo