Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra Jale Chirag To Bujhne Laga Mera Chehra


Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra
Jale Chirag To Bujhne Laga Mera Chehra
Woh Tere Hijar Ke Din Woh Safer Sadiyon Ke
Tu Un Dinon Mein Kabhi Dekhta Mera Chehra
Judaiyon Ke Safar Mein Rahe Hain Saath Sada
Teri Talash, ZaMane, Hawa Mera Chehra
Mere Siwa Koi Itna Udaas Bhi To Na Tha
Khizaan Ke Chaand Ko Achaa Laga Mera Chehra
Kitaab Khol Raha Tha Woh Apne Maazi Ki
Warq Warq Pe Bikharta Gaya Mera Chehra
Sehar Ke Noor Se Dhulti Hui Teri Aankhein
Safar Ki Gard Mein Lipta Hua Mera Chehra
Hawa Ka Akhri Bosa Tha Ya QayaMat Thi
Badan Ki Shaakh Se Phir Gir Pada Mera Chehra
Jise Bujha Ke Hawa Sogwar Phirti Hai
Woh ShaMa-E-ShaaM-E- Safar Thi Ke Mera Chehra
Yeh Log Kyon Mujhe Pehchante Nahin  Mohsin
Main Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera chehra

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo