Mil kar juda hue toh na soya karenge hum, ek doosre ki yaad mein roya karenge hum


Mil kar juda hue toh na soya karenge hum,
ek doosre ki yaad mein roya karenge hum.
Aansoo chalak chalak ke sataayenge raat bhar,
moti palak palak mein piroyaa karenge hum.
Jab dooriyon ki aag dilon ko jalaayegi
jismon ko chaandni mein bhigoya karenge hum.
Ban kar har ek bazm ka mauzu-e-guftugoo,
sheron mein tere ghum ko samoya karenge hum.
Majbooriyon ke zehar se kar lenge khudkushi,
ye buzdili ka jurm bhi goya karenge hum.
Dil jal raha hai zard shajar dekh dekh kar,
ab chaahton ke beej na boya karenge hum.
Gar de gaya daghaa humen toofaan bhi ‘qateel
saahil pe kashtiyon ko duboya karenge hum.

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo