Silsila pyar ka aaghosh-dar-aaghosh bhi hai Mojizaa ye hai k thoda sa mujhe hosh bhi hai


Silsila pyar ka aaghosh-dar-aaghosh bhi hai...
Mojizaa ye hai k thoda sa mujhe hosh bhi hai...

Meri takhleeq mere jurm ki taazeer sahii...
Zindagii ghaur to kar,, isme tera dosh bhi hai...

Be-jhijhak peeta chala jaye magar faash na ho...
Mai-kasho'n tumme koi aisa bala-nosh bhi hai...??

Sheikh chehka hai jo mimbar pe zara si pee kar...
Uski taqreer me jurrat hi nhii,, josh bhi hai...

Aa gham-e-zeestt tujhe mai se gulaabii kar dun...
Rang bhi faqq hai tera,, aaj tu khamosh bhi hai...

Chandd ahbaab mujhe yaad rahenge MOHSIN...
Unme shaamil wo mera zood-faramosh bhi hai....


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo