Ta'aluq Rakh Lia Baqi,Yaqeen Ab Tod Aya Hon
Kisi Ka Saath Dena Tha,Kisi Ko Chod Aya Hon
Tumhare Saath Jeeney Ki Qasam Khaney Se Kuch Pehley
Main Kuch Wadey,Kai Qasmein Kahein Par Tod Aya Hon
Muhabbat Kaanch Ka Zandaan,Yunihei Sang-e-Giraan Kab Thi
Jahan Sar Phod Sakta Tha,Wahein Sar Phod Aya Hon
Palat Kar Aa Gaya Lekin Yun Lagta Hai Keh Apna Aap
Jahan Tum Se Bichde They Wahein Par Chod Aya Hon
Usey Janey Ki Jaldi Thi,So Main Aankhon Hi Aankhon Mein
Jahan Tak Chod Sakta Tha,Wahein Tak Chod Aya Hon
No comments:
Post a Comment