Wo Ada-E-Dil Bari Ho K Nawa-E-Aashiqana, Jo Dilon Ko Fatah Kar Le Wohi Faateh-E-Zamana (Poet Jigar Muradabadi)


Poet Jigar Muradabadi

Wo Ada-E-Dil Bari Ho K Nawa-E-Aashiqana,

Jo Dilon Ko Fatah Kar Le Wohi Faateh-E-Zamana,

Kabhi Husn Ki Tabiat Na Badal Saka Zamana,

Wohi Naaz-E-Be Niazi Wohi Shan-E-Khusrowana,

Main Hon Is Maqam Par K Faraq-O-Wisal Kaise,

Mera Ishq Bhi Kahani Tera Husn Bhi Fasana,

Meri Zindagi To Guzri Tere Hijar K Sahare,

Meri Mout Ko Bhi Pyare Koi Chahiye Bahana,

Tere Ishq Ki Karamat Ye Agar Nahi To Kia Hai,

Kabhi Be Adab Na Guzra Mere Pas Se Zamana,

Teri Doori-O-Hazoori Ka Hai Ye Ajeeb Aalam,

Abhi Zindagi Haqeeqat Abhi Zindagi Fasana,

Main Wo Saf Hi Na Keh Don,

Jo Hai Farq Tujh Mein Aur Mujh Mein Tera Dard,

Dard-E-Tanha Mera Gham Gham-E-Zamana,

Tere Dil K Tootne Par Hai Kisi Ko Naaz Kia Kia,

Tujhe Aye JIGAR Mubarik Ye Shikast-E-Fatehana......!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo