Zara si der mein hum kaise kholte uss ko, tamaam umar lagi jhooth bolte uss ko.


Zara si der mein hum kaise kholte uss ko,
tamaam umar lagi jhooth bolte uss ko.
Jise kasheed kiya tha khumaar-e-khushboo se,
misaal-e rang hawaaon mein gholtey uss ko.
Woh khwaab mein hi utarta shuaa-e subah ke saath,
hum apne aap hi palkon pe taultey uss ko.
Woh ashq tha usey aankhon mein dafan hona tha,
gauhar na tha ki sitaaron mein roltey uss ko.
Woh bewafa tha toh iqraar laazmi karta,
kuchh aur der meri jaan tatoltey uss ko.
Kisi ki aankh se mohsin zaroor peeta hai,
tamaam shehar ne dekha hai daultey uss ko.

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo