Banke ek din hum zaruratmand ginte rah gaye Kitne darwaaze huye hain band ginte rah gaye


Banke ek din hum zaruratmand ginte rah gaye
Kitne darwaaze huye hain band ginte rah gaye
Kodiyon ke mol le li maine saari kaayenaat
Sab meri poshaak ke paiband ginte rah gaye
Woh akela thha nihattha thha jo baazi le gaya
Aur hum apne jazaan farzand ginte rah gaye
Itni daulat ek bhikaari ke yahaan nikli ke bas
Shahar main jitne thhe daulatmand ginte rah gaye
Shaakh par jitne thhe phal koi churaa kar le gaya
Aur hum akhlaaq ke paaband ginte rah gaye

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo