Gaye baras ki eid ka din kaya acha tha, chaand ko dekh kay us ka chehra dekha tha


Gaye baras ki eid ka din kaya acha tha,
chaand ko dekh kay us ka chehra dekha tha
Fizaa men Kates kay lehjay ki nermahat thi
mausam apnay rang men Faiz ka missraa tha
Dua kay be-awaaz, alohi lamhon men
woh lamhaa bhi kitna dilkashh lamha tha
Haath utha kar jab Aankhon hi aankhon men
us nay mujh ko apnay Rab say maanga tha
Phir meray chehray ko haathon men lay kar
kitnay pyar say mera maatha chooma tha!
Hawa! kuch aaj ki shab ka ehwaal suna
kaya woh apni chaatt par aaj akela tha?
Ya koi meray jeisi saath thi, aur uss nay
chaand ko dekh kay us ka chehra dekhaa tha?
Parveen Shakir

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo