Haalt-e-haal ke sabab, haalt-e-haal hi gayee Shauq mein kuchh nahin gayaa, shauq ki zindagi gayee


حالتِ حال کے سبب، حالتِ حال ہی گئی
شوق میں کچھ نہیں گیا، شوق کی زندگی گئی
Haalt-e-haal ke sabab, haalt-e-haal hi gayee
Shauq mein kuchh nahin gayaa, shauq ki zindagi gayee

ایک ہی حادثہ تو ہے اور وہ یہ کہ آج تک
بات نہیں کہی گئی ، بات نہیں سنی گئی
Ek hi hadsa tau hai aur vo ye ke aaj tak
baat nahin kahi gayee, baat nahin suni gayee
بعد بھی تیرے جانِ جاں ، دل میں رہا عجب سماں
یاد رہی تری یہاں، پھر تری یاد بھی گئی
Baad bhi tere jaan e jaan, dil mein raha ajab samaan
Yaad rahi teri yahaan, phir teri yaad bhi gayee
اس کی امیدِ ناز کا ہم سے یہ مان تھا کہ آپ
عمر گزار دیجئے، عمر گزار دی گئی
Us ki umeed-e-naaz ka, ham se ye maan thaa ke aap
Umr guzaar deejiye, umr guzaar di gayee
اس کے وصال کے لئے، اپنے کمال کے لئے
حالتِ دل، کہ تھی خراب ،اور خراب کی گئی
Us ke visaal ke liye, apney kamaal ke liye
Haalat-e-dil, ke thi khraab, aur khraab ki gayee
تیرا فراق جانِ جاں! عیش تھا کیا میرے لئے
یعنی ترے فراق میں خوب شراب پی گئی
Tera Firaq jaan-e-jaan ! Aish thaa kya mere liye ?
Yaani tere Firaaq mein, khoob sharaab pee gayee
اس کی گلی سے اٹھ کے میں آن پڑا تھا اپنے گھر
ایک گلی کی بات تھی اور گلی گلی گئی
Us ki gali se uth ke main aan pada tha apney ghar
Ek gali ki baat thi, Aur gali gali gayee
صحنِ خیالِ یار میں کی نہ بسر شبِ فراق
جب سے وہ چاندنہ گیا، جب سے وہ چاندنی گئی
Sehn-e-khyaal-e-yaar mein, ki na basar shab-e-firaaq
Jab se vo chaand na gayaa, jab se vo chaandni gayee
اس کے بدن کو دی نمود ہم نے سخن میں اور پھر
اس کے بدن کے واسطے ایک قبا بھی سی گئی۔۔
Us ke badan ko di namood, hum ne sukhn mein aur phir
Us ke badan ke waastey ek qbaa bhi seee gayee
 جون ایلیاء Jaun Elia

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo