Hai wohi aasmaan zameen wohi Maah o anjum usi tarah roshan Kehakashan ab bhi muskarati hai


Hai wohi aasmaan zameen wohi
Maah o anjum usi tarah roshan
Kehakashan ab bhi muskarati hai
Phool kaliyan mehak rahi hain yunhi
Baad muddat kay saaray pardesi
Apnay apnay gharon ko aaye hain
Her taraf rang o boo ka maila hai
Aur tanha mein apnay kamray men
Kab say bethi hoon aur sochti hoon
Janay kaya baat hai keh ghar men meray
Jo gazashta baras thi ronaq, ab
Woh kahin bhi nazar nhi aati
Hai fizaa men ajeeb sannata
Haan faqt aik teray janay say
Aisa mehsoos ho raha hai mujhay
Rutt khushi ki to her taraf aaii
Sirf chhotay say meray aangan men
Eid ab kay baras nhi aaii

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo