Har Aik Gham Se Guzarne K Liye Phir Eid Aai Hai. Purane Gaaho Bharne K Liye Phir Eid Aai Hai.


شاعرہ ریحانہ قمر
انتخاب
‫‏عروسہ ایمان
ہر ایک غم سے گذرنے کے لیے پھر عید آئی ہے
پرانے گھاؤ بھرنے کے لیے پھر عید آئی ہے
کنار ۓ چشم رہتے ایک مدت ہو گئی ہم کو
کسی دل میں اترنے کے لیے پھر عید آئی ہے
حنا کے پھول کھلنا چاہتے ہیں پھر ہتھیلی پر
وفا میں رنگ بھرنے کے لیے پھر عید آئی ہے
ہلالء عید نے پیغام بھیجا ہے قمر ہم کو
کہ اس کو یاد کرنے کے پھر عید آئی ہے

Poetess: Rehana Qamar
Har Aik Gham Se Guzarne K Liye Phir Eid Aai Hai.
Purane Gaaho Bharne K Liye Phir Eid Aai Hai.
Kinar-E-Chashm Rahte Aik Muddat Ho Gai Hum Ko.
Kisi Dil Mein Utarne K Liye Phir Eid Aai Hai.
HINA K Phool Khilna Chaahte Hain Phir Hatheli Par.
Wafa Mein Rang Bharne K Liye Phir Eid Aai Hai.
Hilaal-E-Eid Ne Peghaam Bheja Hai QAMAR Hum Ko.
Keh Us Ko Yaad Karne K Liye Phir Eid Aai Hai,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,*

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo