Har Tamashaai Fakat Sahil Se Manzar Dekhta! Kaun Darya Ko Ulat’ta, Kaun Gohar Dekhta!


Har Tamashaai Fakat Sahil Se Manzar Dekhta!
Kaun Darya Ko Ulat’ta, Kaun Gohar Dekhta!
Woh To Dunya Ko Mri Deewangi Khush Aagai!
Terey Haathon Mei Wagarna Pehla Patthar Dekhta!
Aankh Mei Aansoo Jarrey They Pr Sada Tujh Ko Na Di!
Iss Tawaqqo Pr Keh Shayad Tu Palat Kar Dekhta!
Meri Kismat Ki Lakeeren Mere Haathon Mei Na Theen!
Tere Maathe Pr Koi Mera Muqaddar Dekhta!
Zindagi Pheli Hui Thi Shaam e Hijraan Ki Tarhan!
Kis Ko Itna Housla Tha Koun Jee Kar Dekhta!
Tu Bhi Dil Ko Ik Lahu Ki Boond Samjha Hai Faraz!
Aankh Agar Hoti Tou Qatrey Mei Samandar Dekhta!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo