Iss Liye Tasveer-E-Janaa'n Hum Ne Banvaayi Nahin


Baadshah ke saamne Aalim, Na-Beena, Ghareeb, aur Aashiq baithe thay. 
 Baadshah ne kaha mein duusra misra'a sunaata hun, pehla aap ko banaana hai....
Misra'a yeh hai.....
" Iss Liye Tasveer-E-Janaa'n Hum Ne Banvaayi Nahin "
Aalim said:
Butt-Parasti Deen-E-Ahmad Mein Kabhi Aayi Nahin.....
Iss Liye Tasveer-E-Janaa'n Hum Ne Banvaayi Nahin......
Ghareeb said:
Maangta Paisey Musuvvar, Jaib Mein Paayi Nahin.......
Iss Liye Tasveer-E-Janaa'n Hum Ne Banvaayi Nahin......
Aashiq said:
Ek Se Jab Do Huye, Phir Lutf-E-Yaktaayi Nahin ........
Iss Liye Tasveer-E-Janaa'n Hum Ne Banvaayi Nahin ........
Na-Beena said:
Mujh Mein Binaayi Nahin, Aur Uss Mein Goyaayi Nahin........
Iss Liye Tasveer-E-Janaa'n Hum Ne Banvaayi Nahin ......


بادشاہ کے سامنے عالم، نابینا، غریب اور عاشق بیٹھے تھے۔۔۔
بادشاہ نے کہا
میں آپکو شعر کا دوسرا مصرع سناتا ھوں پہلا آپکو بنانا ھوگا۔۔۔
" اس لیئے تصویر جاناں ھم نے بنوائی نہیں "
عالم
بت پرستی دین احمد میں کبھی آئی نہیں
اس لیئے تصویر جاناں ھم نے بنوائی نہی
غریب
مانگتا پیسے مصور جیب میں پائی نہیں
اس لیئے تصویر جاناں ھم نے بنوائی نہیں
عاشق
ایک سے جب دو ھوئے پھر لطف یکتائی نہیں
اس لیئے تصویر جاناں ھم نے بنوائی نہیں
نابینا
مجھ میں بینائی نہیں اور اس میں گویائی نہیں
اس لیئے تصویر جاناں ھم نے بنوائی نہیں

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo