Kabhi dimaag kabhi dil kabhi nazar main raho Ye sab tumhare hi ghar hain kisi bhi ghar main raho


Kabhi dimaag kabhi dil kabhi nazar main raho
Ye sab tumhare hi ghar hain kisi bhi ghar main raho

Jala na lo kahin hamdardiyon main apna wajood
Gali main aag lagi ho to apne ghar main raho

Tumhe pata ye chale ghar ki rahaten kya hai
Hamari tarah agar char din safar main raho

Hai ab ye haal ke dar dar bhatakte phirte hain
Gamon se maine kaha tha ke mere ghar main raho

Kisi ko zakhm diye hain kisi ko phool diye
Buri ho chahe bhali ho magar khabar main raho
Rahat Indori

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo