bichaye jal kahin jamaa aab-o-dana kia phir us nay saray parindoon ko bay thikana kia


bichaye jal kahin jamaa aab-o-dana kia
phir us nay saray parindoon ko bay thikana kia

main tera hukam nahi taalta magar mujha main
na jaanay kon ha jis ne tera kaha na kiya

bjz yakeen koi chara nahi raha meray paas
k pehli bar to us nay koi bahana kiya

milay jo gham to unhain apnay pas hi rakha
khushi mili to tairi taraf rawana kiya

main musht-e-khaak sitaron ka ham nawa thehra
main aik pal tha or us nay mujhay zamana kiya


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo