Har simt gham-e-hijr kay toofan hain Mohsin Mat pooch kay hum kitnay pareshan hain Mohsin


Har simt gham-e-hijr kay toofan hain Mohsin

Mat pooch kay hum kitnay pareshan hain Mohsin

Har chehra nazar aata hey tasveer ki soorat

Hum shehar kay logon se bhi anjaan hain Mohsin

Jis shehar-e-muhabbat ne humein loot liya hey 

Us shehar se ab kooch kay imkaan hain Mohsin

Kashti abhi umeed ki doobi tou nahi hey

Phir kyun teri aankhon mein ye toofan hain Mohsin

Kar in ka adab rakh inhein seenay se laga ker

Ye dard ye tanhaiyan mehmaan hain Mohsin



No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo