Main Chup Ho Jaonga Bujhti Hoi Shammon Ke Saath Aur Kuch Lamhe Thehir ! Zandagi,Aey Zindagi

 

ZINDAGI! AEY ZINDAGI

Main Chup Ho Jaonga Bhujti Hoi Shammon Ke Saath

Aur Kuch Lamhe Thehir ! Zandagi,Aey Zindagi

Jab Tak Roshan Hain Fsurda Taqchy

Neelgon Honton Se Phootey Gi Sada Ki Roshni

Jisam Ki Giti Hoi Deewaar Ko Thamey Hoe

Mom Ke Butt Aatshein Chehre Sulagti Mortein

Meri Beenayi Ki Ye Makhlooq Zinda Hai Abhi

Aur Kuch Lamhe Thehir ! Zandagi,Aey Zindagi

Ho Tou Jane Dy Mere Lafzon Ki Ma'ani Se Tahi

Meri Tahreeren Dhuoen Ki Reengti Parchhain

Jinke Paiker Apni Aawazon Se Khali Be-Laho!

Maho Ho Jai Tou Dy Yaadon Se Khuwabon Ki Tarah

Ruk Tou Jain Akhri Saanson Ki Vehshi Aandhiyan

Main Bhi Chup Ho Jaon Ga Bujhti Hoi Shammon Ke Saath

 Aur Kuch Lamhe Thehir ! Zandagi,Aey Zindagi

Ahmad Faraz


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo