Qurabtoon Mein Bhee Judaai Kay Zamaanay Maangay, Dil Wo Bay Mehar Kay Keh Ronay Kay Bahaanay Maangay,


Poet Ahmad Faraz

Qurabtoon Mein Bhee Judaai Kay Zamaanay Maangay,

Dil Wo Bay Mehar Kay Keh Ronay Kay Bahaanay Maangay,

Hum Na Hotay To Kisi Aur Kay Charchay Hotay,

Khalqat-E-Shehar To Kahnay Kay Bahaanay Maangay,

Yahee Dil Tha Kay Tarsta Tha Maraasam Kay Liye,

Ab Yahee Tarak-E-Taluq Kay Bahaanay Maangay,

Apna Ye Haal Kay Jee Haar Chukay Lutt Bhee Chukay,

Aur Mohabbat Wohee Andaaz Puraanay Maangay,

Zindagi Hum Tairay Daaghoon Say Rahay Sharmindah,

Aur Tou Hay Kay Sada Aaina Khaanay Maangay,

Dil Kisi Haal Pay Qaan,e Hee Nahee Jaan-E-FARAZ,

Mil Gaye Tum Bhee To Kaya Aur Na Jaanay Maangay...............!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo