Shabnami Sitaron Per, Phoool Khilne Lagte Hain


Shabnami Sitaron Per,
Phoool Khilne Lagte Hain
Chaand Muskurate Hai
Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kaat Di Lekin
Bachpan Nahi Jata
Hum Diye Jalate Hain
Ab Bhi Teri Aahat Per

Ghantiyan Si Bajti Hain
Raqs Hone Lagta Hai
Dard jagmagate Hain
Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per
Ek Azaab Taari Hai
Chonk Chonk Jate Hain
Ab Bhi Teri Aahat Pe

Teri Yaad Aaye Tou
Neend Jane Lagti Hai
Chaand Muskurata Hai
Ab Bhi teri ahat Pe

Ab Bhi Teri Aahat Pe
Aas Laut Aati Hai
Ashq Hum Bhi Bahate
Ab Bhi Teri Aahat Per
AddThis Sharing Buttons


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo