Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna Ab Tou Har Haal Mein Hai Ham Ko Safar Mein Rehna


 Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna

Ab Tou Har Haal Mein Hai Ham Ko Safar Mein Rehna

Dil Ko Har Pal Kisi Jaadu Ke Asar Mein Rehna

Khud Se Niklay Tou Kisi Aur Ke Dar Mein Rehna

Sheher-e-Gham ! Dekh, Teri Aab-o-Hawaa Khushk Na Ho

Raas Aata Hai Ose Deeda-e-Tar Mein Rehna

Faislay Saaray Osi Ke Hain Hamaari Baabat

Ikhtiyaar Apna Bas Itna Ke Khabar Mein Rehna

Tootna Yun Tou Muqaddar Hai Magar Kuch Lamhay

Phool Ki Tarah Mayassar Ho Shajar Mein Rehna

Taayir-e-Jaan Ke Guzarnay Se Badaa Saaneha Hai

Shoq-e-Parwaaz Ka Tootay Howay Par Mein Rehna


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo