Hum Ud Lubada Ulfat Ka Yun Khuli Sadaqat Dekhein Gy Emaan Basa Kar Seeny Mein Jalvoun Ki Hararat Dekhein Gy



Roman Version
Hum Ud Lubada Ulfat Ka Yun Khuli Sadaqat Dekhein Gy
Emaan Basa Kar Seeny Mein Jalvoun Ki Hararat Dekhein Gy

Do Shair Kahein Gy Logo Mein Ik Ras Racha Ke Mehfil Ka
Phir Der Talak Sab Chehron Pe Jazbon Ki Wazahat Dekhein Gy

Chaiden Gy Shararat Se Usko Gul Se Gulnari Mousam Tak
Aur Laaj Se Se Bojhal Qadmon Ki Manoos Ijazat Dekhein Gy

Phoonkein Gy  Isam Us Sahir Ka Har Ghunche Pe Har Konpal Par
Tab Gulshan Ki Sab Kalion Mein Ik Rang-e-Tamazat Dekhein Gy

Usy Din Ke Ujaly Mein Le Kar Hum Sahil Par Le Jaen Gy
Ik Chiragh-e-Musalsal Ki Soorat Sooraj Ki Ibadat  Dekhein Gy

Hum Raaz-e-Hasti Khulein Gy Do Chaar Sawalon Ki Soorat
Khamosh Labon Pe Bal Khati Taqdees-e-Ibarat  Dekhein Gy

Milny Ki Sa'at Ka Sadqa Gar Lazim Hai Tou Yunhi Sahi
Kuch Shikwy Bhi Kar Jaein Gy Do Dil Ki Shikayat Dekhein Gy

( Razab Tabraiz )

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo