Jab bhi hansne ke zamaane aaye Zakhm phir yaad puraane aaye


Poet:Mohsin Naqvi

Jab bhi hansne ke zamaane aaye

Zakhm phir yaad puraane aaye

Baar-ha unko manaaya to hamein

Rooth jaane ke bahaane aaye

Phir mujhe toot ke chaaha usne 

Phir bichharne ke zamaane aaye

Teri chahat ne Thaharne na diya

Raah mein kitne thikaane aaye

Isi ummeed pe jaago yaaro!

Ab woh kis waqt na jaane aaye

Raas aaya jinhein sehra "Muhsin"

Unki qismat mein khazaane aaye


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo