Lab-o-Rukhsaar Ka Tuhfa , Gul-o-Gulzaar Ka Tuhfa Suna Hai Eid Pe Dein Gy Humain Wi Piyaar Ka Tuhfa


لب و رخسار کاتحفہ،گل و گلزار کا تحفہ
سنا ہے عید پہ دیں گے ہمیں وہ پیار کا تحفہ
.
مرے آنگن کا ہر کونہ سجارکھا ہے یوںمیںنے
 بہاروں نے دیا ہو جیسے حسن یار کا تحفہ
.
مری قسمت پہ نازاں ہیں فلک کے یہ ستارے بھی
ملا کرتا ہے سب کو یوں کہاں اظہار کا تحفہ
.
نظر ہٹتی نہیں آئینہ پہ جب سے جمی میری
دیا جب سے ہے مجھ کو ہار و سنگھار کا تحفہ
.
حنائی رنک کھلتا ہے کبھی ہاتھوں آنکھوں میں
محبت میں ملا کرتا ہے اکثر خار کا تحفہ

Lab-o-Rukhsaar Ka Tuhfa , Gul-o-Gulzaar Ka Tuhfa

 Suna Hai Eid Pe Dein Gy Humain Wi Piyaar Ka Tuhfa

Mere Aangan Ka Har Kona Saja Rakha Hai Yun Main Ne

Baharon Ne Diya Ho Jaise Husn-e-Yaar Ka Tuhfa

Meri Qismat Pe Nazaan Hain Falak Ke Ye Sitare Bhi

Mila Karta Hai Sab Ko Yun Kahan Izhaar Ka Tuhfa

Nazar Hat'ti Nahi Aaina Ye Jab Se Jami Meri

Dia Jab Se Hai Mujh Ko Har-o-Singhaar Ka Tuhfa

Hinaai Rang Khilta Hai Kabhi Hathon Aankhon Mein

Muhabbat Mein Mila Karta Hai Aksar Khaar Ka Tuhfa


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo